TikTok India me aa raha hai kya? Ye hai viral claim ki asli sachchai
TikTok ke owner Bytedance ne bhi ek statement diya hai jisme clear kiya gaya hai ki Government of India ne abhi tak short video platform ka access restore nahi kiya hai. Matlab simple shabdon me, TikTok abhi India me wapas nahi aa raha. Jo viral claims content creators aur kuch media platforms kar rahe hain, wo galat hain. TikTok ko 2020 me ban kiya gaya tha jab India aur China ke beech geopolitical tensions badh gaye the.
Government aur ByteDance dono ne officially confirm kiya hai ki TikTok India me banned hi hai, aur 5 saal baad bhi iska status change nahi hua. Rumours tab phailne lage jab kuch users bina VPN ke TikTok ka homepage dekh pa rahe the. Ye cheez India aur China ke diplomatic talks ke beech me hui, isliye logon ko laga ki shayad TikTok wapas aa gaya.
Lekin sach ye hai ki TikTok India me abhi bhi banned hai. Ministry of Electronics and IT ke sources ne ise “false aur misleading” bataya. Ek senior official ne kaha, “Humne kuch unblock nahi kiya hai aur na hi TikTok ka status badla hai.”
TikTok par ban June 2020 me Section 69A of IT Act ke under lagaya gaya tha. Us waqt 59 Chinese apps ko block kiya gaya tha kyunki unhe India ki sovereignty, security aur public order ke liye threat mana gaya tha. Matlab sidhi baat, in apps ke through data privacy compromise ho raha tha.
Bytedance ne bhi confirm kiya hai ki unhone India me TikTok ka access restore karne ki koi koshish nahi ki. TikTok spokesperson ne bola, “Humne India me TikTok access restore nahi kiya hai aur hum Government of India ke directive ko follow karte hain.”
Ise bhi padhe - ChatGPT vs Gemini vs Grok vs Perplexity: Best AI Plans in India Compared
Ab sawaal ye hai ki kya TikTok ‘accidentally’ available tha thode time ke liye?
Haan, ek technical glitch ki wajah se TikTok briefly available tha. Ye ek network-level misconfiguration thi, jaise September 2022 me bhi hua tha jab kuch ISPs ne galti se banned sites ko unblocked kar diya tha.
Lekin fact ye hai ki TikTok app abhi bhi India ke Google Play Store aur Apple App Store par available nahi hai. Jo log homepage tak pahunch gaye the unhe bhi aage error messages mile jaise “Our services aren’t available in your country or region.”
Matlab short me – TikTok ka India me wapas aane ka abhi koi chance nahi hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें