TikTok India me aa raha hai kya? Ye hai viral claim ki asli sachchai

TikTok ke owner Bytedance ne bhi ek statement diya hai jisme clear kiya gaya hai ki Government of India ne abhi tak short video platform ka access restore nahi kiya hai. Matlab simple shabdon me, TikTok abhi India me wapas nahi aa raha. Jo viral claims content creators aur kuch media platforms kar rahe hain, wo galat hain. TikTok ko 2020 me ban kiya gaya tha jab India aur China ke beech geopolitical tensions badh gaye the. Government aur ByteDance dono ne officially confirm kiya hai ki TikTok India me banned hi hai, aur 5 saal baad bhi iska status change nahi hua. Rumours tab phailne lage jab kuch users bina VPN ke TikTok ka homepage dekh pa rahe the. Ye cheez India aur China ke diplomatic talks ke beech me hui, isliye logon ko laga ki shayad TikTok wapas aa gaya. Lekin sach ye hai ki TikTok India me abhi bhi banned hai. Ministry of Electronics and IT ke sources ne ise “false aur misleading” bataya. Ek senior official ne kaha, “Humne kuch unblock nahi kiya hai aur na hi TikTok ka stat...